Quetta Business Audit And SEO Rating.
Me Farooq Zaib Senior Quality Assurance And SEO Audits Officer.pichle 1 saal se Quetta me Banks, Shoes Brands aur Car Showrooms ka mystery audit kar raha hun. Me roz MAjinah Road, Airport Road,Lyaqat Bazzar,Zarghon Road,ke outlets visit karta hun. Maine ek cheez note ki hai. In brands ki service aur products to bohot achi hain, lekin jab Quetta ka customer Google par search karta hai jaise "Best car showroom in Quetta" ya " Bata shoes near me" to yehi brands top par nahi aate. Iski 3 badi wajah hain jo maine khud audit ke dauraan dekhi hain. 1. Google Map Par Purani Photos Zyada tar showrooms aur shoe brands ne 1-2 saal purani photos lagai hui hain. Customer ko naya stock nazar hi nahi aata. Jaise maine ek bar [Zarghon Road ke Aek CAR Showroom ] ka audit kiya, unke paas naya Car Suzuki ka aaya hua tha lekin Google Map par abhi bhi Tk wohi purany photos thi. Customer wahi dekh ke wapas chala jata hai. Solution: Har hafte kam se kam 5 nayi HD photos add karen. Showr...